Wednesday, March 30, 2016

D chowk dharna aur muzahira chouthay roz mein daakhil








Islamabad : wifaqi dar-ul-hakoomat ke d chowk par Mumtaz Qadri ke hamion ka qabza chouthay roz bhi jari, ilaqay mein metro bus aur mobile phone service ta haal moattal, Red Zone ka ilaqa police, rangers aur fouj ke hisaar mein, baat cheet agay na barhi to baad dopehar operation kya jaye ga .

Afridi ne maafi ki video social media par jari kar di



Karachi : World T20 mein naaqis kar kardagi par boom boom sharminda hain. Shahid afridi ne qoum se maafi maang li. aur maafi ki video social media par jari kar di.

Apni video mein Shahid afridi ne kaha world cup mein naaqis kar kardagi par qoum se maafi mangta hon. log kya kehte hain is ki parwa nahi. mein qoum ke agay jawabdeh hon.

Un ka kehna tha world cup mein team giyarah khilarion ki nahi poori qoum ki team thi.


Samaa

Saturday, March 26, 2016

Baharat mein 35 Pakistani zirhirasat




New delhi Baharti riyasat Rajasthan mein 35 Pakistani hirasat mein le liye gaye .
Baharti media ke mutabiq yeh Pakistani Monabao ke rastay Bharat phonche thay. Pakistanio ke paas Mathura aur Hari Dawarka visa tha. un afraad ko na mukammal safri dastaweez ki wajah se hirasat mein liya gaya hai. zair hirasat Pakistanio mein bachay aur khawateen bhi shaamil hain. un afraad ka talluq mirpurkhas, tharparkar, Umar coat se hai .



Pakistani high commission ke mutabiq zirhirasat Pakistanio ko tanha nahi choren ge. Pakistani high commission ne mazeed bataya ke zirhirasat afraad se mutaliq maloomat le rahay hain.

SAMAA


Tuesday, March 22, 2016

Brussels Airport par 7 dhamakey, 32 afraad halak






Dhamakay is qader shadeed thay ke airport ki imarat ke sheeshay toot gaye aur launch mein har taraf tabahi phail gayi. Aini shahideen ke mutabiq dhamakon se qabal firing bhi sunai di gayi. dhamakon ki shiddat se airport ki imarat laraz othi. police ne daawa kiya hai ke airport se teen khudkush belts bhi mili hain .




Idhar Brussels kay mall back Metro Station par bhi 4 dhamakay hue. un dhamakay mein 10 afraad halaak hogaye. shehar ke tamam Metro Station band kardiye gaye hain. security sorat e haal ke baais shehar mein alert level ko chaar par kar diya gaya hai jo alert level ki intehai satah hoti hai .






Saturday, March 19, 2016

Imran Khan Pakistan team ko lecture dengey



Kolkata : Pakistan ke sabiq captain Imran Khan bhi team ke support kar ne Kolkata phonch rahay hain. woh dopehar 3 bajey Pakistan team ko lecture dengey. kharab mausam ki wajah Imran Khan ki New Delhi se Kolkata ki parwaaz takheer ka shikar hai .

Imran Khan khusoosi parwaz se Kolkata phonch rahay hain. woh hotel se seedhay taaj hotel pohnchain ge. taaj hotel mein Imran Khan khiladion se mulaqaat karen ge. Imran Khan ke hamrah waseem akram bhi mojood honge .

is se qabal Imran Khan ko ground mein Pakistan team ko lecture dena tha taham ab yeh lecture hotel mein hoga. 

Samaa

Aaj tareekh badal dengey, Afridi




Kolkata : Pakistan ke T20 captain Shahid afridi kehte hain ke Baharat ke sath match ka koi dabao nahi. lala ne daawa kya ke aaj Pakistan tareekh badal day ga .

world T20 mein ahem match se qabal Baharti media ko diye gaye interview mein lala ne wazeh kiya ke badalna meri fitrat mein nahi, ab bhi 20 saal pehlay jaisa kheltaa hon .

Shahid afridi ne kaha ke Baharat ke sath match ka koi dabao nahi, har khilari ko bas apna khail khailnay ko kaha hai. yeh zaroori nahi ke Baharat se har baar world event mein shikast hi hoti rahay. aaj Pakistan tareekh badal day ga .



Pak Baharat bara maarka aaj hoga



Kolkata : World T20 mein aaj honay ja raha hai sab se bara maarka. Kolkata ke eden gardens mein riwayati hareef Pakistan aur Baharat aamnay samnay hon ge. Afridi eleven Baharat ko pachhar kar tareekh badalny ke liye azm hain to dhoni eleven bhi fatah ke liye airee chouti ka zor lagayen ge .



Mega event ka ahem match Pakistan ke waqt ke mutabiq shaam saat bajey shuru hoga. Kolkata mein aaj subah se barish ho rahi hai jabkay shaam mein bhi halki barish ka imkaan hai. match ke tamam ticket farokht ho chuke hain to doosri janib shaiqeen ki barri tadaad abhi se ground ka rukh kar rahi hai .





Friday, March 11, 2016

Pakistani team Abu Dhabi rawana, aaj shaam Kolkata pohanche gi



Lahore : Pakistani cricket team world T20 ke mission par bil akhir Abu Dhabi rawana hogayi. Team ko le kar cricket board ki bas Lahore airport pohanchi thi.

Is se pehlay Pakistan team Baharat mein honay walay world T20 matches mein shirkat ke liye Lahore airport pohanchi thi. is moqay par security ke khusoosi intizamaat kiye gaye thay .

Team raat saarhay teen (3:30) bajey Abu Dhabi rawana hogayi. jahan se woh aaj shaam saat (7:00) bajey Kolkata pohanche gi .

Shaheen Kolkata ke taaj hotel Ali por mein tehren ge .

Itwaar ko yadev por university ground mein practice session hoga .



Thursday, March 10, 2016

Waseem aftaab aur Iftikhar aalam bhi.....

Waseem aftaab aur Iftikhar aalam bhi Mustafa kamaal ke qaafley mein shaamil



Karachi: MQM ke do ahem rehnuma Waseem aftaab aur Iftikhar aalam bhi Mustafa kamal ke sath shaamil hogaye .

kamaal house aamad par Mustafa kamal aur Anees qaim Khani ne Waseem aftaab aur Iftikhar aalam ka kher muqaddam kya. Waseem aftaab MQM rabita committee ke sarkardah member rahay. Iftikhar aalam azizaabad mein nine zero markaz ke ilaqay se rukan Sindh assembly hain. is se qabal dr Saghir Ahmed bhi MQM chor kar Mustafa kamal ki party mein shaamil ho chukay hain .



Wednesday, March 9, 2016

World T20 Pakistan aur Baharat ka match Kolkata muntaqil

World T20 Pakistan aur Baharat ka match Kolkata muntaqil


New Dehli: ICC ne Pakistan aur Baharat ka match dharam shalah se Kolkata muntaqil kar ne ka elaan kar diya, Dev Richardson kehte hain maqam ki tabdeeli security wajohaat ke baais ki gayi, Pakistani hukoomat aur board ko faislay se aagah kardiya, ticket khareed ne walay shaiqeen ko un ke paisay wapas kardiye jayen ge .

Dubai mein press conference kar te ho ye international cricket council ke cheif executive Dev Richardson ne world T 20 mein Pakistan aur Baharat ka ahem match dharam shalah se Kolkata muntaqil karne ka elaan kardiya .



Pak Baharat match dharam shalah se Kolkata muntaqil

Pak Baharat match dharam shalah se Kolkata muntaqil, elaan jald mutawaqqa


Karachi : World Cup T 20 ke sab se ahem match ke maqam ka faisla ho gaya he. Pak Baharat match ka maqam tabdeel kardiya gaya hai. Riwayati hareef 19 March ko Kolkata mein takrayen ge. Baharat ne ICC ko is faislay se aagah kardiya hai. Taham is muamlay par ICC ke hatmi jawab aur manzoori ka intzaar hai.

Monday, March 7, 2016

Dr Sagheer Siddiqui ne Mustafa kamaal ko




Karachi : MQM rehnuma Dr Saghir Ahmed Mustafa kamaal ke ghar pahonch gaye. Dr Saghir ka kehna hai ke mohajiron ko aaj''RAW'' ka agent aur mulk dushman samjha jata hai. koi bhi siyasi ikhtilaaf ho, mohajir mulk dushman nahi hain.


Saturday, March 5, 2016

Aneesqaim Khani ke na qabile zamanat warrant



Karachi : Insidaad e dehshat gardi adalat ne Dr Asim case mein MQM ke sabiq rehnuma Anees qaimKhani ke na qabile zamanat warrant giriftari jari kar diye.

aaj ki samaat ke douran adalat ne tafteeshi Afsar se sawal kia keh Anees qaim Khani kahan hain, giriftar kyun nahi kya? tafteeshi Afsar ka kehna tha ke Anees qaimKhani ki giriftari ke liye airport hukkaam ko aagah krdya tha. FIA ko khat likha ke unhein giriftar kyun nahi kya gaya. adalat ne tafteeshi Afsar ko kaha ke Anees qaimKhani to aa chukay hain, aap ne giriftar kyun nahi kya? adalat ne tafteeshi Afsar ko hukum diya ke ab to aap ko maloom hai woh kahan hain, girftar karen.

Friday, March 4, 2016

Mustafa kamaal ke ilzamaat samajh se ba laa tar hain




Karachi : Peoples party ke senior rehnuma Rehman malik ne sabiq city naazim Mustafa kamaal ke janib se lagaye gaye tamam ilzamaat ko mustard kardiya hai.

senator Rehman malik ne Mustafa kamaal ke ilzamaat ko samajh se ba laa tar qarar diya aur kaha ke mere baray mein Mustafa kamaal ki baatein be bunyaad hain.

Thursday, March 3, 2016

Mustafa kamaal aabdeedah



Mulk mein siyasi darja hararat phir urooj par, Karachi ke sabiq city naazim Mustafa kamaal ne MQM ke baani quaid Altaf Hussain ko kari tanqeed ka nishana to banaya lekin sath hi sath aabdeedah bhi hogaye. Mustafa kamaal aabdeedah kyun hue dekhen......Mustafa kamaal aabdeedah

Mustafa kamaal ki wapsi, MQM ka rad-e-amal




سیدعلی رضاآبادی نے ٹوئٹرپر پشتو میں اپنے پیغام میں کہا کہ پکا مکاوا کانا۔ انھوں نے کہا کہ یہ چوہدری نثار کا آخری اور حتمی کارڈ ہے جو وہ استعمال کررہے ہیں۔
پاکستان مسلم لیگ کے رہنماطلال چوہدری نے سماء سے بات کرتے ہوئے کہاکہ چوہدری نثار گندی سیاست پر یقین نہیں رکھتے۔وہ جرم اورمجرموں کے خلاف لڑرہے ہیں۔ انھوں نے کہا کہ ایم کیوایم اپنے اندرونی خلفشار کی ذمہ داری دوسروں پر نہیں ڈالے۔ سماء

Mustafa kamaal ki press conference, Altaf Hussain par shadeed tanqeed




کراچی:سابق ناظم مصطفی کمال نے 3 برسوں بعد پہلی بار لب کشائی کردی۔اپنی پہلی پریس کانفرنس میں انھوں نے کہا کہ الطاف حسین نے کبھی اپنی غلطی نہیں مانی۔ہم نے انھیں بہت سمجھایا مگر وہ کسی کی نہیں سنتے تھے۔
کراچی میں انیس قائم خانی کے ہمراہ پریس کانفرنس کرتے ہوئے مصطفی کمال کا کہنا تھا کہ وہ تین سال میں پہلی بار پاکستانی قوم سے مخاطب ہیں۔
انھوں نے اپنی گفتگو کو تین حصوں میں تقسیم کیا،ملک سے کیوں گئے،واپس کیوں آئے اور اب کیا کریں گے۔انھوں نے بتایا کہ نہ ہی ان کا کوئی شادی ہال کسی نے چھینا اور نہ کوئی پیٹرول پمپ چھینا ۔
 انھوں نے کہا کہ 2008 میں الطاف حسین کے کہنے پر حکومت جوائن کی اور پھر 4 دفعہ حکومت سے باہر نکلے اور پھر کم تنخواہ پر واپس آئے۔انھوں نے کہا کہ الطاف حسین نےزردارانہ نظام کےخاتمےکی بات کی تھی۔ ان کا کہنا تھاکہ ایم کیوایم سےوہی جاتاہےجسےلات مارکرنکالاجائے۔ ایم کیوایم وہ واحد جماعت ہے جس نے 2013 کے انتخاب میں باؤنس بیک کیا۔
مصطفی کمال کا کہنا تھا کہ اردو بولنے والے علاقوں سے پی ٹی آئی کو ساڑھے 8 لاکھ ووٹ پڑے اور اس پر الطاف حسین کو غصہ آگیا۔
انھوں نے کہا کہ الطاف حسین نے نہ کبھی اپنی غلطیوں کو مانا ہے اور نہ مانیں گے۔مصطفی کمال نے بتایا کہ الطاف حسین نے نشے کی حالت میں مئی 2013 میں نائین زیروپر ایم کیوایم کی رابطہ کمیٹی کوذلیل کیا۔انھوں نے مزید کہا کہ نائین زیرو پر غیرممبران کو بلواکررہنماؤں کی تذلیل کی گئی۔انھوں نے کہا کہ اب رابطہ کمیٹی منٹوں میں ذلیل ہوتی ہے۔
ان کا کہنا تھا کہ الطاف صاحب کے پیچھے دونسلیں تباہ و برباد ہوگئیں۔
انھوں نے انکشاف کیا کہ ایم کیو ایم کے لیے پریس ریلیز پیپلزپارٹی کے رہنما رحمان ملک فون پر لکھواتےتھے۔
مصطفی کمال نے ایم کیو ایم کے بانی رہنما الطاف حسین کو مخاطب کرتے ہوئے کہا کہ رات کو گالی دیتے ہیں اور صبح کو معافی مانگ لیتے ہیں۔ انھوں نے زور دے کرکہا کہ الطاف حسین کو کسی کارکن کی فکر نہیں ہے۔
انھوں نے ایم کیوایم قیادت سے پوچھا کہ اس تحریک کا ایجنڈا کیا ہے۔انھوں نے سوال کیا کہ اردو بولنے والے تہذیب یافتہ تھے۔30سالوں میں جاہل ہوگئے ہیں۔
پریس کانفرنس کے دوران مصطفی کمال نے آبدیدہ ہوتے ہوئے کہا کہ الطاف حسین کے 
لیے ہم نے بہت قربانی دی ہے۔  سماء

Sabiq naazim Mustafa kamaal Karachi mein aaj ahem press conference karengey




Sabiq naazim Mustafa kamaal Karachi mein aaj ahem press conference karengey

Karachi: sabiq mayor Mustafa kamaal watan wapas pohonch gaye hain. woh Karachi mein aaj seh pehar ahem press conference karen ge. un ke sath mutahidda ke rehnuma aur rabita committee ke sabiq ahem rukan Anees qaim Khani bhi mojood honge.

Mustafa kamaal aur Anees qaim Khani kayi mah se mulki siyasat mein ghair fa-aal aur mulk se bahar thay. Mustafa kamaal senate ke rukan bhi rahay hain. taham do baras qabal woh mustafi ho kar mulk se bahar chalay gaye thay.

Wednesday, March 2, 2016

pak America muzakraat, mushtarqa elamia jari















Washington : Pak America muzakraat ka mushtarqa elamia jari kardiya gaya. dono mumalik ne Kashmir samait tamam masail par Bharat se baat cheet aur atomi Adam phelao par ittafaq kya hai.

Pak America muzakraat

Wazeer e Azam ne khawateen ko ba ikhtiyar bana ne ki committee tashkeel day di



Islamabad : wazeer e azam Nawaz shareef ne ba ikhtiyar khawateen policy par aala satah ki committee tashkeel day di. policy ka elaan 8th March ko yom e khawateen par kya jaye ga.

Wazeer e Azam ne khawateen

Pakistan aaj bangal tigers se takraye ga



Dhaka : Asia Cup mein Pakistan aaj bangal tigers se takkar le ga. event mein position mustahkam karne ke liye green shirts ko yeh match jeetna zaroori hai.

Final mein jagah bana ne ke liye Pakistan ko Islanders aur Bangladesh ko haraana hai.

Pakistan vs Bangladesh

Tuesday, March 1, 2016

shehri khushi se nihaal, petrol saarhay aath (8.50) rupay sasta


Islamabad : Wazeer e azam miyan Mohammad Nawaz shareef ne petroleum masnoaat ki qeematon mein kami ka elaan kardiya, naye elaan ke mutabiq petrol saarhay aath (8.50), jab ke diesel saarhay chaar (4.50) rupay sasta kardiya gaya hai.

shehri khushi se nihaal

Islamabad aur Karachi mein barish ki paish goi



Islamabad : Mehakma Mosmiyat ne rawan haftay Islamabad, Karachi samait kayi ilaqon mein barish ki paish goi ki hai. Mutawaqqa barish ke baad Karachi samait chand ilaqon mein garmi ki shiddat mein kami aaye gi.

Islamabad aur Karachi